written sometime in early Nov 2010...I don't know what to call it; a poem, a chandh, etc; but its genuine
aana wala hai ek pal
usko aane do
kyu darr rahe to hum
phele beet to jana do
pal mein jo likha hai vo honi hai
pal se bhaaga to haar to honi hi hai
bas ja us pal mein
aur dekh le vo pal
pal do pal ki baat hai pyaare
dekh le inko nahi to
agli baar tak intezaar kar
us pal ke liye kitne pal hai tune kiye barbaad
raat raat neend uda ke pal ka kiya intezaar
ab jab paas hai to phir wahi ehsaas
ye pal hi to jo banaenge gagan chumti saas
ab chal pal na barbaad kar isko soch ke
pal se jo kehna hai bas palo mein hi soch le
likh le yahin vo pal ko syahi se
ab jab lamha aa gaya hai sunhera kar de unko
ye pal, mere pal, aane wale pal
(ये पल, मेरे पल, आने वाले पल)
Saturday, January 15, 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment