Socha ki aaj bhout dino baad kuch karenge naya
Jaane anjaane mein kisi ka karenge bhala,
Is dhoop mein paani ko amrit kar denge
Aur nahi mila agar koi, to us amrit se naha hi lenge
Chalte hue, jalti hui dharti humari saathi bani
Joote ki dhul se dosti bhari
Na jaane un kawao ko kya thi dushmani
Humare upar bikher di gandigi
Par pairo se jindagi tab bhi chalti rahi
Mana chinta se nahi badalega kal
Santosh tabhi milega jab milega vo pal
Karm karo, fal ki chinta nahi
Nirdeshye ye tha Shri Krishna ka
Par kalyug me Mahabharat ki koi aukaat nahi
Kal petrol bada hai, Aaj saadak par hai bheed
Kal gussa tez tha, Aaj shayad dhoop
Ab kuch aur nahi kehne ko…
Bas yahi ki
Ghoomte hue humare muk pe hassi khilli
Jab har raha ke maud pe hume zindagi milli
Koi samaan bech raha, to koi pasina
Mehnat ki kamai mujhe aaj garmi mein dekhi